Munajat Sazaon mein ghira hoon main

Gunahon mein para hoon main, Khudaya darguzar kar de
Sazaon mein ghira hoon main, Khudaya darguzar kar de

Kabhi sajde ko tarsa hoon, kabhi tauba se bhaga hoon
Teri ulfat se andha hoon, Khudaya darguzar kar de

Meri nazron mein shaitaan hai, ma‘siyat ka toofaan hai
Main ganda hoon, par banda hoon, Khudaya darguzar kar de

Teri rehmat ne paala hai, mohabbat ne sambhaala hai
Tujhe har dam bhulaya hoon, Khudaya darguzar kar de

Na kaanon mein azaan aayi, na aankhon mein nami aayi
Main dil ko sil banaya hoon, Khudaya darguzar kar de

Main tujh se dil ko moda tha, mujhe tu ne na chhoda tha
Nadamat le ke aaya hoon, Khudaya darguzar kar de

Luta shaitaan ke haathon mein, bika duniya ke khwabon mein
Na tha tera, na apna hoon, Khudaya darguzar kar de

Teri ne‘mat se ghafil tha, teri jannat ka sa’il tha
Main zarron mein ka zarra hoon, Khudaya darguzar kar de

Gunahon ka samandar hoon, teri rehmat ke andar hoon
Jahan daura tujhe paaya, Khudaya darguzar kar de

Tere dar par main haazir hoon, main faasiq aur faajir hoon
Bhatakta phirta aaya hoon, Khudaya darguzar kar de

Main har dam bhool jaata tha, tu har dam yaad karta tha
Jagaya teri yaadon ne, Khudaya darguzar kar de

Suheb apne amal se tha jahannam ka sazawaar tha
Mere murshid ke sadqe tu, Khudaya darguzar kar de

5 thoughts on “Munajat Sazaon mein ghira hoon main”

  1. Mashallah mashallah zabardast
    Allaha ko bahtareen jazaye khair ata farmaye
    Ek ajeeb si kaifiyat hogai ise padhte huwe

    1. اللہ آپکو جزائے خیر عطا فرمائے اور ہمارے سروں پر تادیر قائم ودائم فرمائے

Leave a Reply to Tanveer Shaik Cancel Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top