Munajat

Mera yeh dil hai siyah nama, dil-e-siyah ko maaf karde
Main tere dar ka faqeer Maula, mujhe Khudaya maaf karde

Jahan jahan bhi gaya hoon Maula, wahan se lauta hoon khaali daman
Teri hi rehmat ka aasra hai, mujhe Khudaya maaf karde

Shab o sahar ki woh saari ghariyan jo yaad-e-Maula se khaali guzri
Woh sab gunahon ki daastaan hain, mujhe Khudaya maaf karde

Mujhe yaqeen hai tere karam se yeh dil ki duniya badal rahi hai
Bas ek nazar ki hai baat Maula, mujhe Khudaya maaf karde

Tere karam se badal bhi sakte hain mere kaale kaar-nama
Agar tu chahe to pal mein Maula, mujhe Khudaya maaf karde

Baroz-e-mahshar yeh ho Khudaya, mujhe wohi saath mil hi jaaye
Jo tere mehboob bande hain na, mujhe Khudaya maaf karde

Yeh aarzoo hai ke aakhirat mein unhi ki saf mein khada rahoon main
Unhi ke sadqe mujhe bhi Maula, mujhe Khudaya maaf karde

Gunahgaaron ki basti mein main, sab se barh kar khata kiya hoon
Nazar mein Aaqa ke aa na jaaun, mujhe Khudaya maaf karde

Main aa gaya hoon dar-e-Wali par umeed-e-rehmat liye hue ab
Yehi waseela, Suheb tera, mujhe Khudaya maaf karde

Mera yeh dil hai siyah nama, dil-e-siyah ko maaf karde
Main tere dar ka faqeer Maula, mujhe Khudaya maaf karde

1 thought on “Munajat”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top