The-Last-Night-of-the-Journey-to-Madinah

Madinah Munawwarah ke is mubarak safar ki kal aakhri shab thi

Madinah Munawwarah-ke-is-mubarak-safar-ki-kal-aakhri-shab-thi

Ulama ki mehfil mein Hazrat Murshid-e-Muhtaram ki guftagu
goya anwaaraat ki barsaat thi.

Jab fazaon mein judaai ka karb aur aqeedat ki khushboo aik saath rachi basi thi.

Faqeer Hazrat Murshid-e-Muhtaram (Daamat Barakaatuhum) ki wheel chair thaame
Roza-e-Rasool ﷺ par wadaai salaam pesh karne ja raha tha.
Dil bojhal tha aur aankhen pur-nam,
ke isi dauran kisi ne arz kiya:
“Hazrat! kya yeh aakhri salaam hai?”

Hazrat Murshid-e-Muhtaram ne judaai ke is lamhe ko umeed ki tadap mein badalte hue farmaya:
“Nahin, yeh aakhri nahin balkay wadaai salaam hai,
In shaa Allah phir bulaawa aayega.”

Phir farmaya:

“Jis tarah aik mazdoor din bhar ki sakht mashqqat ke baad
thak haar kar sukoon ki talaash mein apne ghar lotta hai,
bilkul isi tarah deen ki khidmat mein thak kar, choor ho kar,
aakhri aaraam ke liye Aaqa ﷺ ke shehar hi mein aana hai;
yahi tamanna honi chahiye ke maut aaye
to isi diyaar-e-Habib ﷺ mein aaye
aur isi mitti ka paiwand naseeb ho.”

Jis waqt Murshid-e-Muhtaram ki zaban-e-mubarak se
yeh dard bhare kalimaat nikal rahe thay,
Faqeer Bab-us-Salaam ke qareeb bheer ko dekh kar
aik ajeeb kaifiyat mein doob gaya.

Dil ne gawahi di ke Allah ke deen ke jitne bhi khadim hain,
woh duniya mein mehnat ki thakan utha kar hi
qabr ke sukoon tak pohanchte hain.
Ambiya-e-Kiraam ‘alayhimus salaam bhi
mashakkat ke baad qabr mein aaraam farma rahe hain.

Magar hamare pyare Aaqa ﷺ ne kis tarah
din raat ummat ki fikr mein apne wajood-e-mubarak ko thakaya
aur phir is duniya se rukhst ho gaye.
Aaj sadiyan guzar jaane ke baad bhi
chaubees ghantay aashiqon ki qataarein lagi hoti hain,
log toote dilon ke saath salaam pesh kar rahe hotay hain.

Qurbaan jaiye us Kareem Aaqa ﷺ par
jo aaj bhi apni qabr-e-athar mein
chaubees ghantay hum gunahgaaron ke salaam ka jawab dete hain,
hamari gawahi sunte hain
aur hamare sifaarshi bante hain.

Yun mehsoos hota hai
jaise Aaqa ﷺ aaj bhi ummat ke gham mein tadap rahe hon
aur Roza-e-Athar se rehmaton ki musalsal barsaat ho rahi ho.

Allahu Akbar Kabeera!
Yeh judaai ka dard bhi ajeeb hai
aur Aaqa ﷺ ki hum par yeh inayat bhi be-misaal hai.

Phir wahan se Madinah Munawwarah mein muqeem
Hindustani Ulama-e-Kiraam ki da‘wat par jaana hua.

Wahan pohanche to Hazrat Murshid-e-Muhtaram
aik haftay se beemaar thay,
kamzori bohot thi,
sirf kuch waqt ke liye tashreef le gaye thay.

Ziyafat ke baad Ulama-e-Kiraam ne arz kiya ke
“Hum Madinah mein muqeem ulama hain,
hamare liye kuch naseehat farma dijiye.”

To Hazrat Murshid-e-Muhtaram ne
mukhtasir naseehat is tarah shuru farmaayi:

Wa Usoikum bi Amrayn:
Dawaam-it-Taqwa,
wa Dawaam-iz-Zikr

Main tumhein do baaton ki wasiyyat karta hoon:
hamesha taqwa ikhtiyaar karna,
aur hamesha Allah ka zikr karte rehna.

Phir Hazrat ne farmaya:

Hum yahan aane ke liye niklay thay,
Madinah ki parking mein
mezbaan ke aane mein taakhir ho gayi
aur hum intezaar mein thay.

Itne mein aik sahib aaye jo Haidaraabaadi thay,
hamare liye ajnabi thay
magar Madinah mein muqeem thay.

Unhon ne sawaal kiya:
“Huzoor ﷺ ka faiz kaise haasil hota hai?”

To Hazrat ne unhein samjhaya:
Dawaam-e-Taqwa,
aur Dawaam-e-Zikr.

Phir Ulama ko is ki tafseel yun bayaan farmaayi:

Agar dawaam-e-taqwa naseeb na ho
to Madinah mein reh kar
jitna bara khasara hota hai,
duniya ke kisi aur muqaam par reh kar
itna khasara nahin hota.

Aur dawaam-e-zikr ki tafseel yeh farmaayi ke
zikr ka ta‘alluq qalb se hai,
aur faiz aik noor hai.

Allah Ta‘ala ne khud is noor ka zikr farmaaya hai
ke yeh kahan hota hai,
kahan se aata hai,
aur kis tarah milta hai.

Fi Buyootin Azinallahu an turfa‘a
wa yuzkara feehasmuhu
yusabbihu lahu feehal ghuduwwi wal aasaal

Tarjuma:
Un gharon mein jin ke buland kiye jaane
aur jin mein us ke naam ke zikr ki Allah ne ijazat di hai,
subah-o-shaam usi ki tasbeeh ki jaati hai.

Rijaalun la tulheehim tijaaratun wala bay‘
‘an zikrillahi wa iqamis-salaati wa eeta’izz-zakaah
yakhaafoona yawman tataqallabu feehi al-quloobu wal absaar

Tarjuma:
Aise mard jinhein na tijarat aur na khareed-o-farokht
Allah ki yaad, namaz qaim karne
aur zakaat dene se ghaafil karti hai;
woh us din se darte hain
jismein dil aur aankhen ulat palat ho jaayengi.

Hazrat ne farmaya:

Allah ka faiz Allah ke gharon mein milta hai,
aur dawaam-e-zikr se milta hai.

Isi liye Allah Ta‘ala ne
Ulool-Albaab ki alamat yeh bayaan farmaayi:

Insaan ki teen hi haalat hoti hain:
ya khara hota hai,
ya baitha hota hai,
ya leta hota hai.

Allazeena yazkurunallaha qiyaaman
wa qu‘oodan wa ‘ala junoobihim

Yahi dawaam-e-zikr ki kaifiyat hai.

Phir farmaya ke
dawaam-e-zikr walay dil ko jo noor milta hai,
us ke baare mein Allah Ta‘ala ne khud farmaaya:

Ya ayyuhallazeena aamanoo
uzkurullaha zikran kaseera

Tarjuma:
Aey imaan walon! Allah ka zikr kasrat se kiya karo.

Wa sabbihoohu bukratan wa aseela

Tarjuma:
Aur subah-o-shaam us ki tasbeeh bayaan karo.

Huwallazee yusalli ‘alaykum
wa malaa’ikatuhu
liyukhrijakum minaz-zulumaati ilan-noor
wa kaana bil-mu’mineena raheema

Tarjuma:
Wohi hai jo tum par apni rehmatain naazil karta hai
aur us ke farishte tumhare liye dua karte hain
taake tumhein andheron se nikaal kar roshni ki taraf le aaye,
aur woh mominon par nihayat mehrbaan hai.

Hazrat ne farmaya:

Dawaam-e-zikr aur dawaam-e-taqwa ke saath
Aaqa ﷺ ke darbaar mein
jitna durood pohanchta hai,
utna hi noor aur faiz naseeb hota hai.

Magar jis tarah uloom-e-zaahirah mein
hadees ka ilm ittehaal-e-sanat se milta hai,
isi tarah yeh faiz Aaqa ﷺ se
ittehaal-e-quloob ke zariye milta hai.

Mashaikh ke quloob se
hamare quloob ka ittehaal hoga
tab ja kar hamara qalb
Qalb-e-Athar ﷺ se faiz paayega.

Isi dauran Hazrat Murshid-e-Muhtaram ne farmaya:

Aaj hi mere farzand, bhai Bilal ne
isi mauzoo par sawaal kiya
ke “Abba! zikr mein dawaam kaise rakha jaaye?”

Hazrat ne farmaya:

“Beta!
koi banda aaj hi se
dawaam-e-zikr ki niyyat kar le
aur koshish shuru kar de,
phir agar yeh ni‘mat
pachchees saal baad bhi naseeb ho,
to Allah Ta‘ala
mehnat karne walay ke naam
poore pachchees saal ka dawaam-e-zikr likh dete hain.
Shart yeh hai ke niyyat ke saath ibtida kar de.”

Ulama-e-Kiraam par is baat ka ajeeb asar hua.
Sab ne afsos kiya ke kaash yeh baat record ho jaati.

Faqeer ko bhi sakht hasrat hai
ke kaash yeh sab record ho jaata.
Apni kotahi thi, Allah maaf farmaaye.

Allah kare jo kuch qalam band ho saka
usi ko nafa‘ bakhshay,
aur us ke sadqay Faqeer ko bhi
dawaam-e-zikr aur dawaam-e-taqwa ki ni‘mat ata farmaaye.

Allah hum sab ke is safar ko qabool farmaaye,
aur hum sab ko baar baar maqbool haazri
aur apne mashaikh ki sohbat naseeb farmaaye.

Khaak-e-Paaye Murshid-e-Muhtaram
Muhammad Suheb Usmani Qasmi
Musafir-e-Madinah

7 thoughts on “The Last Night of the Journey to Madinah”

  1. ماشاءاللہ، اللہ تعالی آپ کے ساتھ ہمیں بھی قبول فرمائے۔آپ کے قلم تاثیر اور پیدا کرے آمین

  2. Mashallah..
    Allah Hazrat aur mufti sahab ke umrah ke Safar ku qubul kare..
    Inki har duwao me Allah hamara hissa aatakarre.
    Ummate muslima ke har shakhs ku hajj e baitullah ke liye qubul kare.
    Ameen

  3. Abu Talha Naqshbandi

    Piyare Allah hamen murshid e mohtarma ki sahi qadar dani naseeb farmaye or hamen bhi unki suhbat e ba barkat ka lutf uthane ki Taufeek mile or mere azeez dost bhai Hazrat mufti suheb sahab ko bahtareen jazaye khair ata farmaye

Leave a Reply to Mufti Suheb Usmani Qasmi Naqshbandi Cancel Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top