Yeh Sawaari Jannat-ul-Firdous ka pehla zeena hai
✍️ Az: Qalam-e-Mufti Suheb Usmani Qasmi
⸻
① Duniya ki Haqeeqat aur Aakhri Sawaari
•“Yeh duniya ki sab se sasti sawaari hai, jiska kiraya sirf ek saans aur umar bhar ki nekiyan hain.”
•“Aaj yeh sawaari batati hai ke kursi, daulat aur shohrat sab faani hain. Yehi woh aakhri takht hai jahan har baadshah aur faqeer ko aik hi rutba milta hai.”
•“Aaj maloom hua ke asal maqam dilon mein tha, kyun ke janaza jitna bhaari ho, utne zyada ahbaab saath hotay hain. Yeh mohabbaton ki aakhri ginti hai.”
•“Yeh insaan ki aakhri parwaaz hai; na passport ki zaroorat, na visa ki, bas amal ki poonji chahiye.”
•“Tamaam umar daurnay wala, aaj khud se nahi chal sakta. Chaar kandhon ki yeh aakhri sawaari, insaan ki bebasi ka sab se bada saboot hai.”
⸻
② Aashiq ka Walaahana Andaaz
(Hazrat Ji ke Tanazur mein)
•“Yeh janaza nahi, yeh aik aashiq-e-saadiq ki shaadi ki sawaari hai. Aaj woh Mehboob-e-Haqeeqi se milne ja raha hai, gham ki bajaye rashk ka maqam hai.”
•“Saari umar bahr-o-bar mein ishq-e-Maula ka safar kiya, aaj yeh aakhri safar usay maqsad-e-hayaat se milanay ja raha hai.”
•“Jis wujood ne soz-e-ishq se laakhon dilon ko garmaaya, aaj wohi wujood wisal ki manzil ko sudhaar raha hai. Is sawaari par gham nahi, wisal-e-Yaar ka wajd taari hai.”
•“Yeh faqr-o-gadaai ki shaan hai ke aaj Shehenshah-e-Silsila-e-Naqshbandi ko khud Arsh walay bula rahe hain. Yeh sawaari Jannat-ul-Firdous ka pehla zeena hai.”
⸻
③ Roohaniyat aur Dilrubaai
•“Aaj is sawaari par woh dil lada hai, jo saari umar zikr-o-muraaqba se dhadakta raha. Aaj yeh qalb saakin ho kar, Allah ke huzoor sab se badi gawaahi dene ja raha hai.”
•“Yeh woh mehmaan hai jise lene ke liye zameen-o-aasmaan ke farishtay bhi betaab hain. Aakhri sawaari ka yeh safar dar-asal noor aur sukoon ka safar hai.”

